速報APP / 圖書與參考資源 / Hazrat Abu al Hassan Kharqani

Hazrat Abu al Hassan Kharqani

價格:免費

更新日期:2018-04-08

檔案大小:40M

目前版本:6.0

版本需求:Android 4.0.3 以上版本

官方網站:mailto:aafi.technologies@gmail.com

Email:http://tiny.cc/aafi_tech_privacy_policy

Hazrat Abu al Hassan Kharqani(圖1)-速報App

Hazrat Sheikh Abu al Hassan Kharqani R.A nay Awaisi nisbat say Sultan ul Arifeen Hazrat Khwaja Baayazid Bastami R.A say faiz hasil kiya. Apnay zamanay kay maaroof auliya karaam aur sufiaa azzaam say mulaqaatain rahin. Aap nay Hazrat Sheikh Abul Abbas Ahmad kasaab Aamli R.A (Jo kay Hazrat Muhammad Bin Abdullah Tabri R.A kay Khalifa thay) ki zyarat ka sharaaf hasil kiya aur aik muddat tak unki qayaam gaah main qyaam kiya.

Isi tarah Hazrat Sheikh Abu Saeed Abu al-Khair Mehni R.A, Shaikh Abu al Hassan Kharqani R.A ki zyarat kay liye Kharqaan tashreef laye aur apnay mureedon ki aik jamaat kay hamraah kayee roz Ap ki Khanqah main kayyam fermaya. Hazrat Sheikh Abu Saeed R.A nay fermaya:

" Main Na pukhta eent tha jab Kharqan pohancha to gohar ban ker wapis aya."

Hazrat Shaikh Ali Bin Usman Jalaabi R.A Aap ki shaan in lafzon main byaan kertay hain:

Hazrat Abu al Hassan Kharqani(圖2)-速報App

"Sharaf e ehl e zamana wa under zamana Khud yagana Hazrat Abu al Hassan Ali bin Ahmad Kharqaani R.A ka shummar akaaber aur mutqadmeen Mashaikh main hota hai. "

Aap kay darwazay per following haroof likhay howay thay:

"Jo shakhs bhi is saraaiy main aaye usy roti do, aur uskay emaan kay baaray main mat poocho kyon kay Allah nay jisay bhe jaan inayat fermaaye hai wo Abu al Hassan kay daster khwan per baithnay kay laaiq hai."

Aap kay irshaadat main say chund irshadat yeh hain:

Hazrat Abu al Hassan Kharqani(圖3)-速報App

"Agar Turkastan say lay ker Syria tak kisi insaan ki ungli main kaanta chubh jaaye to uska dard mujhe hota hai. Aur agar kisi dil main bhi koe dukh mojood ho to woh dil mera hota hai."

"Kaash Tamaam makhlooq ki bajaye mujhe maut aa jati aur qyamat kay din sab makhlooq ka hisaab mujh say liya jaata. Aur jo laug saza kay mustahiq hotay un kay badlay mujhay azaab diya jaata"

"Khuda nay mujhay woh dard ataa kiya hai keh iska aik katra bhi nikal parray to tofaan e Noah A.S say bhi zyada toofan aa jaye"

"Go main un parh hoon per Khuda kay karam nay mujhay tamaam aloom say behra war kiya hai."

Hazrat Abu al Hassan Kharqani(圖4)-速報App

"Main eesha kay baad us waqt tak araam nahin kerta jab tak din bher ka pura hissab apnay Khuda ko na dai doon."

Hazrat Abu al Hassan Kharqani(圖5)-速報App